Friday, January 14, 2011

Aik Kahaani

Kuch ehsasaat kabhi aap ka peecha nahi choRRtay, khawh aap unn par tawjjuh dei'n ya na dei'n.  Halaat, mood aur aap ki kaifiyaat kay mutaabiq aap kay lashaoor ko apnay honay ka paighaam bhejtay rehtay hai'n.

Aisa hi aik ehsaas, pichhlay 2-3 saal say khaas taur par, mujhay bhi waqtan fawaqtan kachokay laga kay yaad dilaata rehta hai ke mai'n television ya film kay liyay kuch likhoo'n.  Zaati taur par mai'n bhi mehsoos karta hoon ke meray andar kabhi na kabhi aur baaz auqaat bahut tasalsul kay saath kisi na kisi kahaani ka taana baana buna ja raha hota hai jo faqat meri adam tawajjuh ki waja say mukammal nahi ho paata.

Chand aik chotay motay khaakay mai'n nay likhay bhi huey hai'n lekin apnay andar descipline, determination aur persistence ki kami kay baa'iss ye qudrati salaahiyat uss tarah parwaan na chaRRh saki jaisa ke iss ka taqaaza tha.

Mera bachpan, iklauta honay ki wajah say, bahut tanhaai mei'n guzra hai aur ye tu aik saabit shuda haqeeqat hai ke early childhood kay haalaat-o-waqayeaat insaan ko laashaoori taur par hamesha mutaassir kartay rehtay hai'n.  So, meray saath bhi kuch aisa hi hai.

Shaayad aisa sub kay saath hota ho lekin meray saath tu bahut zyaada hota hai ke logo'n kay darmayaan hota hoo'n tu meri shakhsiyat, soch aur behaviour say koi bhi ye andaazah nahi kar sakta ke tanhaai kay hisaar mei'n daakhil hotay hi meri kaifiyat, mizaaj, rawaiyyah aur ehsaasaat yaksar badal jaatay hongay.  Aur ye bahut jald wuqu' pazeer honay waala taghaiyyur meray thakhliqi amal par baRRi shiddat kay saath asar andaaz hota rehta hai jiss ki wajah say mai'n zyaadah arsah tak kisi bhi kaam par apni tawajjuh markooz nahi rakh paata hoo'n aur iss tarah koi bhi kahaani apnay anjaam ko nahi pahunchti hai.  Meray computer mei'n, meray writing pads mei'n kuch kahaniyaa'n udhoori paRRi hai'n jin mei'n say kisi aik ka paayah-e-takmeel ko pahunchna bahut zururi hai meri fikri, takhaiyyulaati aur takhliqi baqa kay liyay.

Filhaal tu mujhay sirf aik kahaani ko mukammal karna hai jo shaayad meray writing kay career kay liyay spring-board saabit ho.  Woh aik kahaani koi short story bhi ho sakti hai aur television kay drama ka script bhi.  Mujhay ye aik kahaani jald say jald likhni hai jo ke meri aanay waali baqaaya zindagi kay naey safar ki taraf dar-asl mera pehla qadam ho ga.

Aaj kal mai'n apni tamaam tar concentration isi nuktay par focus karnay ki koshish mei'n laga hua hoo'n, aur sirf isi liyay mai'n nay Facebook kay dosto'n say 31 March, 2011 tak online raabitah na rakhnay kis ijaazat talab ki hui hai.

21 December 2010 say 31 March, 2011 kay darmayaan 100 din kay andar aik ya do script likhnay ki iraadah kiya hua hai aur kuch themes par har waqt kuch na kuch sochta rehta hoo'n.

Baghair dhoop kay sardi nay iss baar thoRRa sa susst kar diya hai haalaa'n-ke meray sonay ki duration abb bhi 3-5 ghantay hi hai.  Faarigh waqt mei'n garma garm bistar mei'n ja ghusnay ki khawhish ko meri tarah bahut kam loag hi resist krtay ho'n gay khaas taur par jub fursat kay waafar lamhaat mayassar ho'n.

Anyway, khud apnay saath hi aik jang ki si haalat hai jo baaz auqaat bahut shadeed ho jaati hai aur aisay mei'n aik dost ki qurbat ki tamanna zurur hoti hai lekin kabhi poori nahi hoti.  Aisay haalaat mei'n thoRRi ya zyaadah der company denay wala aik hi dost hai Ahmad Ayaz jo aaj kal muaashi dabaao say nikalnay ki koshish mei'n Malaysia gaya hua hai.  Baaqi dost mujhay Ayaz ki tarah nahi samajh paaey iss liyay unn ki qurbat ki khawhish itni shadeed nahi hoti.

So, dosto, mai'n tu aik tarah kay maidaan-e-jang mei'n bar-sar-e-paikaar hoo'n.  Fikr-o-shaoor kay kisi na goshay mei'n aik kahaani tarteeb pa rahi hai aur umeed hai ke insha-Allah 31 March tak kuch na kuch zurur aap logo'n kay saamnay pesh kar sakoo'n ga, warna guzartay lamhaat kay auraaq par meri apni kahaani tu waqt ka qalam tehrir kar hi raha hai jiss ki zaahiri takhleeq shaayad kisi aur kay haatho'n sar-anjaam paani ho.

Wish me all the best and vice versa.

0 comments:

Post a Comment

 
Free Joomla TemplatesFree Blogger TemplatesFree Website TemplatesFreethemes4all.comFree CSS TemplatesFree Wordpress ThemesFree Wordpress Themes TemplatesFree CSS Templates dreamweaverSEO Design