Saturday, January 15, 2011

The Bitterest Truth

Meri zindagi kay haal (present) ka sub say baRRa aur kaRRwa (bitter) such ye hai ke mai'n abhi tak uss depression aur hyper tension kay shikanjay say poori tarah rehaani nahi pa saka hoon jiss nay barso'n say mujhay buri tarah apni grift mei'n jakRRa hua hai.  Mai'n aaj bhi usi band gali mei'n phansa hua hoo'n jiss mei'n Javaid Garments ki job quit karnay kay baad quaid ho gaya tha.

Sirf apnay ird gird kay maahaul par artificiality ka kambal daal kar khud ko tu ye yaqeen dilaanay mei'n kaafi hadd  tak kaamyaab ho gaya ke sub kuch ttheek hai lekin haalaat mei'n koi practical change nahi la saka.  Positive thinking ka dhandora peet'tay peet'tay itna zurur hua hai ke meri baato'n aur behaviour mei'n negativity ka element nazar nahi aata aur meray nazdeek ye bhi aik bahut baRRi achievement hai.

Last week meri choti beti nay mujh say sawaal kiya tha ke papa aap ki life ki achievement kya hai?  Mera jawaab tha 'Meri koi aik achievement aisi nahi hai jiss ki buniyaad par mera naam heroes ya celebrities mei'n shaamil kiya ja sakay.  Albatta choti choti kuch aisi achievements zurur hai'n jin par mai'n positive sense mai'n fakhr kar sakta hoo'n.

Jaisay ke 1970 mei'n cricket kay junoon aur kite flying ki wajah say Metric mei'n 5 subjects mei'n compartment aanay kay baad bina kisi tuition aur external help kay aglay hi saal science kay subjects mei'n first division lena, kisi bhi ustaad ki help kay bina 2 years tak inter-collegiate competitions mei'n har baar top three mei'n say kam az kam aik aur umooman 2 prize haasil karna.

Phir 2008 mei'n Mian Allauddin kay fraud kay nateejay mei'n business mei'n laga hua aik aik rupiah ganwa denay kay baad suicidal depression say na sirf akelay fight back karna bul-ke ghar kay andar negative fiza na paida honay dena waghera.'

Iss tamaam struggle ka aik nateejah tu ye hai ke meri family itnay baRRay financial loss kay baad haalaat kay negative influence say kaafi hadd tak mehfooz rahi.  Aur doosra musbat pehlu ye hai ke bahut say logo'n ki expectations kay khilaaf meri shaoori haalat aur sochnay samajhnay ki salaahiyat bhi baaqi rahi jo ke bajaaey khud aik bahut baRRi achievement hai.  Aur ye sub kuch Allah Karim ki khususi blessings kay baghair mumkin na tha.  Positve thinking bhi tu aik bahot baRRi ne'mat hai, agar deeply socha jaaey tu.

Shadeed tareen financial crisis aur muaashi challenges ki zanjeero'n mein jakRRa honay kay baawujood mai'n nay do kaam aisay kiyay hai'n jo meray halqa-e-ahbaab mei'n koi aur nahi kar saka.  Number aik http://www.ezinearticles.com par 25 articles likhna aur kuch blogs create karna jin mei'n khaas taur par http://thinksucceeded.blogspot.com aur http://e-maqzine.blogspot.com par abb 11000 say zyaadah pageviews register ho chukay hai'n, haalaan-ke mai'n samajhta hoo'n ke mai'n inn dono'n blogs kay saath woh insaaf nahi kar saka jo mujhay mazeed koshish karkay karna chaahiyay tha lekin phir bhi aik tarah ka itmenaan hai ke suicidal depression jaisi jaan leva kaifiyat say guzarnay kay baad bhi mai'n aik aisa, chota sa hi sahi, kaam karnay mei'n kaamyaab ho saka jiss ka kuch na kuch faayedah, husool-e-maa'loomaat ki hadd tak duniya kay 100 say zyaadah countries kay visitors ko kisi na kisi surat tu pahonch raha hai.

The bitterest truth is that I have still not been able to earn any money due to some factors over which I have no control at all.  However, I 'm still struggling to create and play some blind cards to certainly win the jackpot.  And the basic idea of those blind cards will not be disclosed to anyone until I play and show them to the world myself.

Friday, January 14, 2011

P.S. to Aik Kahaani

Meri last post hargiz planned nahi thi.  Aaj tu socha bhi nahi tha ke iss mauzu' par kuch likhoo'n ga.  Mausam tu uksa raha tha ke ghar kay deegar afraad ki tarah mai'n bhi kambal oRRh kar so jaaoo'n lekin jaisa ke last post mei'n zikr kiya hai iss temptation ko meri tarah bahut kam loag resist kartay hongay.  Baghair shadeed neend kay bistar mei'n paRRay rehna meray nazdeek susti aur kaahili ko daa'wat denay kay mutaraadaf hai.  Iss liyay computer on kar leta hoo'n.  This is what I call challenging your SELF.  Kisi bhi insaan kay liyay zindagi mei'n sub say baRRi bul-ke ghamasaan ki jang uss kay apnay SELF kay khilaaf hoti hai, shaayad isi liyay isay 'Jihaad-e-Akbar' ka naam diya gaya hai.


Likhnay ki khawhish tu har waqt hoti hai lekin practically likhnay ka amal kabhi kabhi hi sarzad hota hai gunaah-e-kabeerah ki tarah jo buray say bura insaan bhi frequently nahi kar sakta.

Khair, kehna ye chaahta tha ke bahut yaqeen hai kisi na kisi din yunhi baitthay baitthay wo kahaani nok-e-qalam say kaaghaz par ya keyboard ki click click say computer ki hard disk par muntaqil ho hi jaaey gi jiss ki takhleeq iss waqt meri zindagi ka sub say baRRa challenge hai.

God bless you and me too!

Aik Kahaani

Kuch ehsasaat kabhi aap ka peecha nahi choRRtay, khawh aap unn par tawjjuh dei'n ya na dei'n.  Halaat, mood aur aap ki kaifiyaat kay mutaabiq aap kay lashaoor ko apnay honay ka paighaam bhejtay rehtay hai'n.

Aisa hi aik ehsaas, pichhlay 2-3 saal say khaas taur par, mujhay bhi waqtan fawaqtan kachokay laga kay yaad dilaata rehta hai ke mai'n television ya film kay liyay kuch likhoo'n.  Zaati taur par mai'n bhi mehsoos karta hoon ke meray andar kabhi na kabhi aur baaz auqaat bahut tasalsul kay saath kisi na kisi kahaani ka taana baana buna ja raha hota hai jo faqat meri adam tawajjuh ki waja say mukammal nahi ho paata.

Chand aik chotay motay khaakay mai'n nay likhay bhi huey hai'n lekin apnay andar descipline, determination aur persistence ki kami kay baa'iss ye qudrati salaahiyat uss tarah parwaan na chaRRh saki jaisa ke iss ka taqaaza tha.

Mera bachpan, iklauta honay ki wajah say, bahut tanhaai mei'n guzra hai aur ye tu aik saabit shuda haqeeqat hai ke early childhood kay haalaat-o-waqayeaat insaan ko laashaoori taur par hamesha mutaassir kartay rehtay hai'n.  So, meray saath bhi kuch aisa hi hai.

Shaayad aisa sub kay saath hota ho lekin meray saath tu bahut zyaada hota hai ke logo'n kay darmayaan hota hoo'n tu meri shakhsiyat, soch aur behaviour say koi bhi ye andaazah nahi kar sakta ke tanhaai kay hisaar mei'n daakhil hotay hi meri kaifiyat, mizaaj, rawaiyyah aur ehsaasaat yaksar badal jaatay hongay.  Aur ye bahut jald wuqu' pazeer honay waala taghaiyyur meray thakhliqi amal par baRRi shiddat kay saath asar andaaz hota rehta hai jiss ki wajah say mai'n zyaadah arsah tak kisi bhi kaam par apni tawajjuh markooz nahi rakh paata hoo'n aur iss tarah koi bhi kahaani apnay anjaam ko nahi pahunchti hai.  Meray computer mei'n, meray writing pads mei'n kuch kahaniyaa'n udhoori paRRi hai'n jin mei'n say kisi aik ka paayah-e-takmeel ko pahunchna bahut zururi hai meri fikri, takhaiyyulaati aur takhliqi baqa kay liyay.

Filhaal tu mujhay sirf aik kahaani ko mukammal karna hai jo shaayad meray writing kay career kay liyay spring-board saabit ho.  Woh aik kahaani koi short story bhi ho sakti hai aur television kay drama ka script bhi.  Mujhay ye aik kahaani jald say jald likhni hai jo ke meri aanay waali baqaaya zindagi kay naey safar ki taraf dar-asl mera pehla qadam ho ga.

Aaj kal mai'n apni tamaam tar concentration isi nuktay par focus karnay ki koshish mei'n laga hua hoo'n, aur sirf isi liyay mai'n nay Facebook kay dosto'n say 31 March, 2011 tak online raabitah na rakhnay kis ijaazat talab ki hui hai.

21 December 2010 say 31 March, 2011 kay darmayaan 100 din kay andar aik ya do script likhnay ki iraadah kiya hua hai aur kuch themes par har waqt kuch na kuch sochta rehta hoo'n.

Baghair dhoop kay sardi nay iss baar thoRRa sa susst kar diya hai haalaa'n-ke meray sonay ki duration abb bhi 3-5 ghantay hi hai.  Faarigh waqt mei'n garma garm bistar mei'n ja ghusnay ki khawhish ko meri tarah bahut kam loag hi resist krtay ho'n gay khaas taur par jub fursat kay waafar lamhaat mayassar ho'n.

Anyway, khud apnay saath hi aik jang ki si haalat hai jo baaz auqaat bahut shadeed ho jaati hai aur aisay mei'n aik dost ki qurbat ki tamanna zurur hoti hai lekin kabhi poori nahi hoti.  Aisay haalaat mei'n thoRRi ya zyaadah der company denay wala aik hi dost hai Ahmad Ayaz jo aaj kal muaashi dabaao say nikalnay ki koshish mei'n Malaysia gaya hua hai.  Baaqi dost mujhay Ayaz ki tarah nahi samajh paaey iss liyay unn ki qurbat ki khawhish itni shadeed nahi hoti.

So, dosto, mai'n tu aik tarah kay maidaan-e-jang mei'n bar-sar-e-paikaar hoo'n.  Fikr-o-shaoor kay kisi na goshay mei'n aik kahaani tarteeb pa rahi hai aur umeed hai ke insha-Allah 31 March tak kuch na kuch zurur aap logo'n kay saamnay pesh kar sakoo'n ga, warna guzartay lamhaat kay auraaq par meri apni kahaani tu waqt ka qalam tehrir kar hi raha hai jiss ki zaahiri takhleeq shaayad kisi aur kay haatho'n sar-anjaam paani ho.

Wish me all the best and vice versa.

Thursday, January 13, 2011

More Pix from Internet

Ittefaaq say ye time hai housemaid kay ghar aanay aur safaai karnay ka.  Mera computer bedroom mei'n hai lekin yahaa'n say TV lounge aur kitchen tak mei'n honay wali movement mujhay disturb karti hai.

Iss dauraan kuch likhnay likhaanay ka tu sawaal hi paida nahi hota, le-haaza kuch aur photos share karta hoo'n.





From Internet

Aaj aap kay saath kuch aisi photos share karna chaahoo'n ga jo mai'n nay different websites aur blogs say save ki gai hai'n aur ye tu tai hai ke mujhay achhi lagee'n iss liyay meray computer mei'n abhi tak maujood hai'n.  I hope you would also like some or all of them.












Everyday Colours - GREEN

Kabhi aap nay ghaur kiya hai ke aap kay ghar, office ya kaam karnay ki jagah par kuch colours khususi taur par aap ki zindagi ka hissa bun jaatay hain.  Bahut chhoti chhoti chezei'n jo aksar hamaaray istema'al mei'n rehti hai'n hamaari zara si tawajjuh ki bhi muntazir hoti hai'n lekin hum tu shaayad unn ko colour-wise apnay shumaar mei'n bhi nahi rakhtay.

Kya aapko ma'aloom hai ke aap kay kitchen mein kis colour ki cheezei'n zyadah ta'adaad mei'n hai'n?  Shaayad nahi.  Chalei'n phir agli baar jub aap kisi kaam say kitchen mei'n jaaei'n ya phir sirf isi niyat say, tu note kijiyay ga ke aap kay kitchen mei'n kaun sa rang numaaya'n hai.  

Recently main nay tu jo kuch dekha wo aap kay saamnay hai. Inn mei'n say koi bhi cheez mehaz photo lenay kay liyay specially nahi rakkhi gai.  Everything was already in its place except the vegetables that were only arranged in a form to give a beautiful look.

i







Wali Khan Babar

Karachi mei'n GEO News kay reporter Wali Khan Babar ka baheemaana qatl aik bahut hi takleef deh khabar hai.  Aur yaqeenan ye ghatiya kaam bhi aik sochay samjhay mansoobay kay teht kiya gaya hai.  Kam az kam ye kisi Taalibaan group ki kaarwai tu hargiz nahi hai.

Karachi mei'n teen hi baRRay tabqay powerful hai'n yaani Pakistan People's Party, Muttahidda Qaumi Movement aur Awami National Party.  Aur iss baat mei'n koi shakk nahi ke Wali Khan Babar jaisay zaheen aur mehnati naujawaan ka qatl inn hi teen garoho'n mei'n say kisi aik nay kiya hai.

Jaanay wala tu apni jaan say haat dho baittha aur shaayad uss ma'asoom kay qaatil apni bazaahir mehfooz panaah gaaho'n mei'n chupay baitthay apni kaamyaabi ka jashn mana rahay ho'n lekin woh ye baat bhool rahay hai'n ke Allah ki taraf say zaalim ko milnay waali dheel ki bhi aik hadd  hoti hai.  Kaash woh ye samajh saktay lekin unn ki aankho'n par tu ghaflat ka parda paRRa hota hai warna aisa karei'n hi kiyo'n.

Allah karim marhoom kay ghar waalon ko sabr-e-jamil ata farmaaey aur field mein kaam karnay waalay deegar cameramens aur reporters ko apni hifaazat mei'n rakkhay.  Aameen!
 
Free Joomla TemplatesFree Blogger TemplatesFree Website TemplatesFreethemes4all.comFree CSS TemplatesFree Wordpress ThemesFree Wordpress Themes TemplatesFree CSS Templates dreamweaverSEO Design